Powell: Interest Rates Will Not Be Cut to Ease Govt Pressure
🔸 Federal Reserve ke Chairman Powell ne clear keh diya hai ke interest rates sirf inflation aur employment data ki base par adjust honge — sarkari qarz ya budget pressure ka koi asar nahi hoga.
🔸 Unka kehna tha: “Hum kabhi yeh nahi dekhte ke government borrowing convenient hai ya nahi.”
🔸 High interest rates ki wajah se U.S. govt ka debt burden barh gaya hai, lekin Powell ne kaha ke agar rates jaldbazi mein kam kiye gaye to inflation phir se out of control ho sakta hai.
🔸 Trump ne kaha tha ke agar rates 3% kam ho jaayein to $1 trillion ki saving ho sakti hai — lekin yeh soch dangerous ho sakti hai public ke liye.
🔸 Fed ka focus clear hai: Inflation control sabse pehle, chahe short term mein pressure kyun na ho.