AOA, mai ek alam nahi huin mera kam hai apko proper tareke se guide karna. ye baat sabko pata hai ke trading itni asan cheez nhi us ko seekne ke liye struggle karna pata hai.ye baat mai apko bhi aur bohot bare bare influencer bhi ye baat keh chuke hain begair seekhe begair research ke jo kam ap kar rahe wo haram hai.aur jo log haram halal mai faraq kar rahe hain achi baat hai lekin kuch ase log bhi yaha per mojood hain jo spot trading aur analyse karne ke aur signal begair karne ke bawajood loss kar rahe hai wo bhi spot mai wo usmai bhi nuksaan kar rahe hain. baat ye hai jo beginners spot ko halal karke analyse karke bhi nuksan kar rahe hain.

Is ki wajah kia hai kia apke dimag mai asa sawal aya hai kia ?

Psychology ka masla hai mindset ka masla ham is mai usko follow na karke lalach karke apna nuksaan karte sari game mindset ki hai.aur usko muin se bolna asan hai lekin follow karna mushkil hai.chahe konsi bhi kisam ki trading ho usmai risk management ke saath chalna parta hai is wajah se usko phir baad haram haram kahna shuru kar dete hai.

Do You Know About It ?

Trading 30% analyse hai sari game mindset ki hai 70%.to isliye har cheez se pehle ap khud research kia karien. mindset ki misaal ase hai ke manlo apne 500 per koi coin buy ya long kia lekin wo 480 hogaya lekin ham kia karte hain ke kabhi na kabhi to upar jyega lekin uske bawajood 450 per ajati hai phir ham kahte ke bhaya 480 per ayga to sell kardoon ga 20 rupay nuksaan bhardast karloonga lekin is ke chakar mai 300 per price a jata hai aur aista aista sari capital loss hojata hai.to isliye hamien hamesha stop loss rakhna chahye.aur agar wo price upar jari ho to jyada der wait karte hain uskai chakkar mai bhi loss kar dete hain.

$BTC #ETHBreaks4000 #CryptoIn401k #Notcoin #BuiltonSolayer