Market mein kamaai ka raasta samjho, har candle kuch kehti hai!
1ļøā£ Morning Star š
Ye 3 candles ka formation hota hai, jo downtrend ke baad nazar aata hai.
Pehle ek badi red candle, phir ek chhoti candle (jo confusion dikhati hai), aur akhir mein ek strong green candle.
Ye pattern batata hai ke ab market upar ja sakta hai.
2ļøā£ Hammer Candle šØ
Ye ek bullish reversal signal hai jo downtrend ke end par banta hai.
Iski lambi neeche wali tail batati hai ke sellers ne price ko neeche le jaane ki koshish ki, lekin buyers ne control le liya.
Green hammer strong hota hai, lekin red hammer bhi trend reversal ka signal de sakta hai agar confirmation mile.
3ļøā£ Bullish Engulfing š
Do candles ka zabardast pattern.
Pehle ek chhoti red candle, phir ek badi green candle jo usay pura cover kar leti hai.
Buyers ne sellers ko hara diya ā trend upar ja sakta hai.
4ļøā£ Inverted Hammer ā”
Hammer jaisa hi hota hai, lekin lambi upper tail hoti hai.
Downtrend ke baad nazar aata hai.
Agar iske baad bullish candle aaye, to signal strong hota hai ke market upar jaayega.
5ļøā£ Piercing Pattern šÆ
Ek red candle ke baad ek green candle jo neeche open hoti hai, lekin pehle candle ke aadhe se zyada tak close hoti hai.
Buyers ki entry ka signal ā reversal aasakta hai.
6ļøā£ Three White Soldiers šļø
Teen lagataar green candles, har ek pehle se upar close hoti hai.
Strong bullish momentum ā usually bearish trend ke baad aata hai.
7ļøā£ Rising Three Method š
Pehle ek strong green candle, phir kuch chhoti red candles jo uske range mein hoti hain, aur phir ek aur strong green candle.
Bulls ne break liya, phir dobara control le liya ā trend upar continue karega.
8ļøā£ Dragonfly Doji š
Isme lambi neeche wali tail hoti hai aur price open ke kareeb close hota hai.
Sellers ne koshish ki neeche le jaane ki, lekin buyers jeet gaye.
Downtrend ke baad aaye to bullish reversal ka signal deta hai.
9ļøā£ Bullish Harami š¤°
Pehle ek badi red candle, phir ek chhoti green candle jo pehli candle ke andar hoti hai.
Market mein confusion ya momentum slow hona dikhata hai ā reversal aasakta hai.
š Aakhri Baat:
Ye candles sirf shapes nahi, balkay market ke jazbaat ka nakshe hain. Agar inhe support/resistance, volume, aur trendlines ke saath use karo to trading mein faislay lena asaan ho jaata hai.
Agar post pasand aaye to Like, Share aur Comment zaroor karein. Shukriya!
#CryptoSignals #BullishPatterns s #tradingtips s #MarketTrends #CandlestickPatterns