#tradingtechnique 🚨🚨

1. Cliff Unlock kya hota hai?

Cliff unlock ka matlab hota hai ke kisi token ka pehla bara hissa ek specific time ke baad ek hi dafa unlock hota hai.

Jaise ke:

Misaal ke taur par agar kisi project ka cliff period 1 saal ka hai, to pura 1 saal koi token unlock nahi hoga

Lekin jaise hi 1 saal complete hoga, ek bara chunk (jaise 20%, 30% ya aur zyada) ek hi din unlock ho jayega.

Cliff unlock = ek hi dafa ek bara hissa unlock hona.

2. Linear Unlock kya hota hai?

Linear unlock ka matlab hota hai ke tokens thoda thoda karke daily ya monthly unlock hote hain smooth aur constant speed mein.

Jaise ke:

Har din thoda sa unlock hota rahega (for example 0.1% daily)

Ya har mahine kuch percentage unlock hoti rahegi (for example 5% per month).

Linear unlock = aram aram se, regular basis pe unlock hota hai.

Simple Farq:

Cliff unlock mein ekdum ek bara hissa milta hai.

Linear unlock mein thoda thoda kar ke milta rehta hai.

#XRPETFs #AirdropFinderGuide #TradingCommunity #BinanceSquareFamily