💥 Solana CEO ka Aitraf – "Mujhe Sharmindagi Hai" 💥
Solana ke co-founder Anatoly Yakovenko ne 19 March 2025 ko X (Twitter) par ek controversial ad par maafi maang li. Yeh ad Solana Accelerate Conference ki promotion ke liye tha, lekin isme pasmanda groups ko target karne ka ilzam lagaya gaya, jis par crypto community ne bohot zyada criticism kiya.
🔹 Yakovenko ne kaha: "Yeh ad ghalat tha, aur mujhe ab bhi takleef mehsoos hoti hai. Mujhe sharmindagi hai ke maine isay kam ahmiyat di. Yeh asal me ek pasmanda group par tanqeedi hamla tha."
🔹 Unho ne wada kiya ke Solana Foundation sirf decentralization aur open-source development par focus karega aur cultural conflicts se door rahega.
Yeh controversy Solana ki reputation ke liye ek bada challenge ban sakti hai. Kya aapko lagta hai ke yeh issue SOL price par impact karega? Apni raye comments me share karein!