Aaj mai aapko Future Trading ke bare mai sab kuch bataunga — Shariah ke point of view se, with proofs jo har banda nahi samajh pata ke asal mai is mai hota kya hai.
📜 Hadees ka Daleel – Sunan Abi Dawud: Hadith 3503
Hakim ibn Hizam ne Nabi ﷺ se poocha:
"Kya main aisi cheez bech sakta hoon jo mere paas mojood nahi?"
Nabi ﷺ ne farmaya:
"Jo cheez tumhare paas nahi, use na becho."
➡ Is se ye pata chalta hai ke agar koi cheez aapke qabze mai nahi to use na becho. Us waqt digital cheezein nahi hoti thi.
⚡ Future Trading mai coin physically aapke paas nahi hota, lekin agreement/contract hota hai, jo isay halal banata hai — bilkul jaise dropshipping mai hota hai.
📖 Qurani Daleel – Surah Al-Baqarah, Ayat 282
Leverage jisme loan hota hai, agar usme interest nahi to wo halal hai.
Allah ne farmaya ke:
"Jab tum qarz lo ya do, to is ka likhit agreement zaroor banao."
💡 Matlab agar loan interest-free ho aur agreement ho, to allowed hai.
⚠ Sood wo hota hai jab paise le kar us par interest charge ho — ye haram hai.
💰 Funding Fees – Kya Ye Sood Hai?
❌ Nahi. Funding fees ek service charge ki tarah hoti hai.
Example: Jaise bank se paisa transfer karte ho aur bank chhoti si fee charge karta hai — ye sood nahi hota.
✅ Conclusion:
Agar future trading mai:
Proper contract ho 📄
Interest na ho 💵
Sirf service fee lage ⚙
To ye halal ho sakti hai according to Shariah principles.
#ETHBreaks4000 #CryptoIn401k #Crypto #FutureTarding #HalalCryptoSteps