$1.1 Trillion Gaya Ek Din Mein – Market Ki Halat Kharab! 😳

Aaj U.S. stock market ne aisi dive lagai ke investors ki aankhen khuli ki khuli reh gayin! Sirf ek din ke andar $1.11 trillion ka nukhsan… haan, trillion!

Bari bari companies ne ghutne tek diye:

Amazon: -8.27% 😬

Walmart: -6.95%

JPMorgan: -3.28%

Meta, Apple, Microsoft, Nvidia… sab ka haal kharab tha.

Amazon ka to aesa fall tha ke recent months ka worst din keh rahe hain log.

Lekin interesting baat yeh hai ke kuch companies ne green bhi close kiya, jaise:

TTC: +2.39%

AN: +1.57%

NO & CORT bhi halka sa oopar.

Lekin overall mood down tha. Har taraf fear, confusion aur panic.

Log keh rahe hain:

1. Economic data weak aaya hai

2. Fed rate hike ka darr

3. Geopolitical tensions

4. Earnings bhi kuch companies ki disappointing rahi

S&P 500 ne bhi -1.79% close kiya… matlab har sector pressure me tha.

Ab agle dino me sab ki nazar Fed ki commentary, jobs report aur inflation data pe hogi. Agar sell-off continue hua, to aur bhi nuksan ho sakta hai — especially un stocks ka jo pehle se overpriced hain.

👉 Aise time pe panic nahi, planning karo. Portfolio dubara check karo, aur short-term greed se bach kar chalo.

#ProjectCrypto #UsStocksMarket #marketcrash #InvestSmart #FinanceUpdates

$BTC

$ETH

$HOME