Risk Management Kya Hai?
Trading mein profit banana important hai, lekin paise bachana us se bhi zyada zaroori hai. Isi liye Risk Management har trader ke liye must hai.
Key Points:
1% Rule: Ek trade mein sirf 1% capital risk par lagayen.
Stop-Loss Lagana Mat Bhoolain: Market kabhi bhi ulta chal sakta hai, stop-loss aapko bade nuksan se bachata hai.
Position Sizing: Bina calculate kiye full capital laga dena ghalti hai. Trade size calculate karen aur ussi hisaab se entry lein.
Emotion Control: FOMO aur panic selling se bachain, plan par stick karen.
Diversify Karain: Sare paise ek hi trade ya coin mein mat lagayen.
Yaad Rakhein:
Trading mein “survive karna” sab se pehla step hai. Jis trader ne risk manage karna seekh liya, uski success ki chances automatically barh jati hain.
#RiskManagement #CryptoTrading #TradingTips #LearnTrading #TradeSmart