Technical Analysis

Technical analysis (TA) aik aisa method hota hy jis se hamen kisi coin ki future price ka pata chalta hy ke ye coin uper jaega ya neeche. TA me hum chart aur volume ko indicators ki madad se parhte hain. TA ka bunyadi maksad ye hy ke market kab entry leni chahye aur kab exit. TA ki wajah se hum apne gain barha sakte hain aur loss ko kam karte hain.

Indicators:

  • Moving Average

Aik khas period (eg 30 din) me trend ka pata chalta hy ke price up hui ya down.

Is me mazeed do types hy

  1. Simple Moving Average ( SMA) : Ye slow kam karta hy.

  2. Exponential Moving Average: Ye tez kam karta hy.

  • Relative Strength Index (RSI)

Ise pata chalta hy ke price kitbi tezi se move karti hy.Is indicator me range hoti 0 se 100 tak. Agar 70 se uper hy to matlab price down jaigi. Aur agar 30 se kam hy matlab ab price up hogi.

  • Bollinger Band

Is me 3 line hoti

  1. Upper band

  2. Moving average

  3. Lower Band

Agar upper band me candlesitck hogi to price neeche jaigi. Aur lower band me candelstick bane to price uper jaigi.

#BTC #MarketPredictions