🔥🔥"Crypto is Just a Scam?"🔥🔥
#BinanceUrdu #BinancelaunchpoolHuma #DinnerWithTrump #MarketPullback #CryptoPakistan
– Sach Kya Hai?🙊🙊🙊
Aaj kal har doosra banda keh raha hai:
“Crypto? Arey bhai, wo to sirf scam hai!”
Lekin asal mein baat kya hai?
Scam Kya Hota Hai?
Scam matlab hota hai kisi ko dhoka de kar paisa lena.
Lekin poori technology ko scam kehna jaise kehna ho "Internet sirf fraud hai" — samajh rahe ho?
Haqeeqat Yeh Hai:
Har nayi cheez ke sath fraud log bhi aate hain.
Jaise:
Mobile aya, fake calls bhi aaye.
Email aya, spam bhi aayi.
Ab crypto aya, to scam coins bhi aaye.
Lekin iska matlab yeh nahi ke poora system hi fraud hai.
Crypto = Technology
Bitcoin ya Ethereum kisi shakhs ka project nahi.
Yeh decentralized hain. Koi malik nahi, koi off switch nahi.
Aap chahein to poora system khud verify kar sakte ho.
Scammers Use, Not Create
Jese fraud log bank ka naam use kar ke logon ko loot lete hain,
waise hi scammers bhi crypto ka naam lete hain.
Samajhdaari yeh hai ke tool aur fraud mein farq samjho.
Kya Karna Chahiye?
Har naye project pe andha bharosa mat karo.
DYOR (Do Your Own Research)
Sirf is liye invest mat karo ke kisi ne kaha "yeh 10x dega"
Sahi jagah seekho, sahi logon ko follow karo.