🤜Binance par Stop Loss 🖐️🖐️aur Margin Trading ka Asaan Tareeqa!👌👌

Aap trading kartay ho lekin har baar loss mein chalay jatay ho?

Toh Stop Loss aur Margin Trading ka sahi use seekhna zaroori hai!

1. Stop Loss kya hota hai?

Stop Loss ek automatic order hota hai jo aap ke nuksan ko rokta hai.

Example: Agar aap ne BTC $60,000 par kharida aur aap chahtay ho agar price $58,000 tak ajaye toh sell hojaaye — toh yeh hai Stop Loss.

Use karne ka tareeqa (Binance app):

1. Trade screen par jayein

2. "Stop-Limit" select karein

3. Stop price aur Limit price set karein

4. Amount dal kar "Sell" press karein

2. Margin Trading kya hoti hai?

Margin trading mein aap Binance se loan le kar zyada quantity mein trade karte ho.

Lekin yaad rahe: Zyada profit ka chance hai, lekin zyada loss ka bhi!

Use karne ka tareeqa:

1. Binance par "Margin" wallet activate karein

2. Funds transfer karein spot se margin wallet mein

3. "Borrow" button se required coin borrow karein

4. Trade karein jaise normal, lekin leverage choose karein (e.g., 3x, 5x)

Important Tips:

Hamesha Stop Loss lagayein

Market ka analysis karein

Margin mein sirf wahi invest karein jo aap lose kar sakte ho

Liquidation ka khatra rehta hai!

#BinanceSquare #BinanceUrdu

$ARDR