🚨6 Common Mistakes in Crypto That Often Lead to Losses! (Be Careful While Trading on Binance)🛶
Crypto mein 6 aam ghaltiyan jin ki wajah se hum nuqsaan kar baithtay hain! (Binance par trading ke doran khayaal rakhain)
1. Baghair tehqiqat ke invest karna
Sirf doosron ki baaton ya social media ke hype par bharosa kar ke coin khareed lena nuqsaan ka sabab ban sakta hai.
2. Sirf FOMO ki bunyaad par khareedari
"Sab khareed rahay hain, main kyun peeche rahoon?" – Yehi soch aksar bade nuqsaan ka sabab banti hai.
3. Risk management na karna
Pura paisa ek hi coin mein laga dena khatarnaak ho sakta hai. Hamesha stop-loss aur diversification par amal karein.
4. Market ko samjhe baghair futures trading karna
Bina tajurbe ke leverage ya futures mein ghusna paisa doobne ka sabab ban sakta hai.
5. Sabar na karna
Jaldi munafa k liye jaldi sell kar dena ya dip mein ghabra kar bech dena ek aam ghalti hai.
6. Security ko nazarandaz karna
Apne Binance account ko 2FA (Two-Factor Authentication) se mehfooz na rakhna hacking ka risk barha deta hai.
Binance par trading karein, magar samajhdari se!
Seekhain, samjhein, aur mehfooz tareeqay se invest karein.
💡Follow For More Real Tips
#BinanceUrdu #cryptotrading #CryptoMistakes #InvestSmart #Binancepakistan #BinanceSquareFamily