Jab maine trading start ki thi, mujhe lagta tha bas chart dekhna aur buy/sell karna hi sab kuch hai.

Lekin ek din maine bina soch samjhe FOMO me aake trade le liya… aur loss ho gaya.

Na plan tha, na stop loss. Us din ek simple baat samajh aayi:

"Market se paise kamane ka shortcut, patience hai."

Aaj bhi agar koi trade leta hu to sirf 3 cheeze dekhta hu:

Reason kya hai entry ka?

Kya koi news hai? Kya chart kuch batata hai?

Risk kitna hai?

Agar galat ho gaya to kitna loss hoga? Kya main mentally ready hu?

Exit kaise karunga?

Sirf profit ka nahi, loss ka bhi plan hona chahiye.

Trading sirf profit ka game nahi, discipline ka game hai. Har trade ek lesson deta hai. Agar seekhna chahte ho, to har galti ka analysis karo.

Aaj main trade lene se pehle likhta hu — haan, literally likhta hu ki kyun le raha hu. Aur isse meri accuracy aur confidence dono badhe hain.

Agar aap naye ho, to ek kaam karo:

Ek demo trade plan banao — bina paise lagaye.

Sirf socho aur likho ki kya karoge.

Jab likhne lagega na, tab samajh aayega trading actually kitni serious cheez hai.

Trading karo ya na karo, lekin sochna mat chhodo.

Market har din kuch sikhata hai… sunne wale banjao.

#BinanceSquare
#TradeLessons #TradeStories #CryptoEducation💡🚀