๐Ÿ“ข๐ŸšจUSA ne ab officially apna pehla "Bitcoin Reserve" create kar liya hai jisme Trump ka direct role hai. Is reserve mein wo Bitcoin include hain jo govt ne criminal cases mein seize kiye thay, aur unki value approx 17 billion dollars tak hai.

Trump ne ye bhi kaha ke wo chahte hain ke America "Crypto Capital of the World" banay. Ab is reserve mein sirf Bitcoin nahi, balkay Ethereum, XRP, Solana aur Cardano jaise coins bhi add kiye jaa rahe hain.

Is khabar ke baad BTC ka rate 3.6% upar gaya aur price $97,000+ cross kar gaya.

New Hampshire bhi pehli US state ban gayi hai jo apni treasury ka 5% part crypto mein invest karegi.

Lekin kuch log criticize bhi kar rahe hain ke Trump crypto regulations ko loose kar raha hai jisse transparency issues aur conflict of interest ka risk barhta hai.

#bitcoin #USA. #Trump #CryptoNewss s #BTCUpdate #Ethereum #Altcoins #CryptoReserve #DigitalAssets

๐Ÿ’ฉ๐Ÿ’ฉ๐Ÿ’ฉ๐ŸŒน๐ŸŒน