#AirdropStepByStep
Step 1: Samjhein ke Airdrop kya hota hai
Crypto Airdrop ek tareeqa hota hai jismein blockchain projects users ko muft tokens dete hain – zyada tar marketing ya community banane ke liye.
Step 2: Ek Crypto Wallet banayein
Tokens lene ke liye aapko ek crypto wallet ki zarurat hogi.
Recommended wallets:
• MetaMask (browser extension aur mobile)
• Trust Wallet (sirf mobile)
Step 3: Sahi Blockchain ka istemal karein
Yeh dekhein ke aapka wallet us blockchain ko support karta ho jahan airdrop mil raha ho.
Aam tor par yeh blockchains use hoti hain:
• Ethereum (ERC-20)
• Binance Smart Chain (BEP-20)
• Solana, Arbitrum, Optimism waghera
Step 4: Official Sources ko Follow karein
Project ke official channels join karein jaise ke:
• Website
• Twitter (ya X)
• Discord
• Telegram
Yahin par airdrop ke announcements aur instructions milti hain.
Step 5: Airdrop Tasks Complete karein
Zyada tar projects aapko choti choti tasks dete hain jaise:
• Social media accounts follow karna
• Tweet ya post ko share karna
• Discord ya Telegram join karna
• Apna wallet address submit karna
• Platform ka use karna (jaise DeFi, NFT minting ya swapping)
Step 6: Airdrop Form Fill karein
Jab tasks complete ho jaayein to form fill karein jismein:
• Wallet address
• Username
• Task ka proof waghera
Note: Fake websites se bachaav karein — sirf official links ka hi use karein.
Step 7: Token Distribution ka wait karein
Agar aap eligible hain to tokens ek specific date par aapke wallet mein bhej diye jaayenge.
Step 8: Apne Wallet mein Tokens Check karein
Jab tokens mil jaayein to:
• Token ko manually add karein (agar nazar na aaye to contract address se)
• Blockchain explorer jaise Etherscan, BscScan, ya Solscan se confirm karein
Optional: Hold karein ya Sell karein
Jab tokens mil jaayein to aap:
• Unhein hold kar sakte hain (future mein value barh sakti hai)
• Ya phir sell ya swap kr skty hain