BNB vs ETH: Do Baray Crypto Coins ka Muqabla
Crypto dunia mein Ethereum (ETH) aur Binance Coin (BNB) do mashhoor coins hain jo apni alag alag khasoosiyat ki wajah se mashhoor hain. Dono kaam to blockchain technology par karte hain, lekin unka maqsad aur use case farq hai.
Ethereum (ETH)
Ethereum 2015 mein Vitalik Buterin ne launch kiya tha. Yeh sirf aik coin nahi, balkay aik smart contract aur dApps ka platform hai. ETH par aap decentralized apps, NFTs aur DeFi projects bana saktay hain.
Khasoosiyat:
Smart contracts ka leader
Boht se tokens aur apps ETH par bane hain
Ab Proof of Stake par chal raha hai (Ethereum 2.0)
Developer community boht strong hai
Binance Coin (BNB)
BNB 2017 mein Binance exchange ne launch kiya tha. Shuru mein yeh sirf trading fees kam karne ke liye use hota tha, lekin ab yeh BNB Chain ka hissa hai jahan aap fast aur sasti transactions kar saktay hain.
Khasoosiyat:
Binance exchange par use hota hai
Gas fees aur staking ke liye bhi use hota hai
Ethereum se zyada fast aur cheap hai
Thora centralized hai lekin grow kar raha hai
BNB aur ETH ka Muqabla
FeatureEthereum (ETH)Binance Coin (BNB)MaqsadSmart contracts aur dAppsBinance aur BNB Chain ke liyeBlockchainEthereumBNB ChainConsensusProof of StakeProof of Staked AuthorityDecentralizationZyadaKamUse CaseNFTs, DeFi, dAppsTrading fees, staking, DeFi
Kaunsa Behtar Hai?
Agar aap long-term invest karna chahte hain ya Web3 technology mein interest hai to Ethereum behtar hai. Agar aap Binance use karte hain aur sasti aur tez transactions chahte hain to BNB behtar choice ho sakta ha