#RiskRewardRatio
🚨 Yaaro, aaj aik aham baat share karna chahta hoon jo har us shakhs ke liye hai jo Binance ya kisi bhi crypto exchange pe trading kar raha hai, ya karne ka soch raha hai.
Hamare aas paas aaj kal YouTube pe hazaroon aise log milte hain jo apne aap ko “expert trader” ya “signal provider” kehte hain. Ye log attractive thumbnails aur high-return promises ke zariye logon ko phansate hain. “100% sure shot signal”, “10x profit in 1 day” jese jumlay sun kar log apna hard-earned paisa laga dete hain bina kisi research, bina kisi understanding ke.
Agar trading ka shauq hai, to seekho. Khud analysis seekho, market samjho, risk management ka tariqa samjho. Lekin please, kisi bhi YouTuber, influencer ya “VIP signal group” ka andha bharosa mat karo. Yeh log aksar apna faida dekhte hain aapka nahi.
Abhi haal hi mein aik bhai ne mujhe bataya ke usne aik mashhoor YouTuber ka signal follow kiya, aur sirf 3 dinon mein kareeban 1000 Euro ka nuksaan uthaya. Socho, 3 din — aur paisa gaya! Na sirf paisa, balke saath mein tension, bechaini aur afsos bhi mila. Jab paisa doobta hai to sirf wallet nahi, insaan ka hausla bhi toot jata hai.
Crypto market already risky hai. Yeh traditional banking system nahi jahan kisi kaafi had tak protection hoti hai. Yahaan aik galat decision ya kisi fraud signal provider ka kehna maan lena, aapko zero pe laa sakta hai.
Agar trading ka shauq hai, to seekho. Khud analysis seekho, market samjho, risk management ka tariqa samjho. Lekin please, kisi bhi YouTuber, influencer ya “VIP signal group” ka andha bharosa mat karo. Yeh log aksar apna faida dekhte hain aapka nahi.
Aap sab se guzarish hai khud ko aur apne doston ko is trap se bachao. Yeh waqt hai jaagne ka, samajhne ka. Paisa banana mushkil nahi, lekin usay sambhalna aur ghalat logon se bachana bohat zaroori hai.
Crypto Perho! by Abdullah Mahmood
#pakistanicrypto #IndiaCrypto #Binance