Hello to everyone !
Pakistan me crypto traders aur P2P users ko mushkilat ka samna hai, kyunki Binance P2P use karne par bank accounts freeze ho rahe hain aur restrictions lag rahi hain.
Wajuhat:
1. Account freeze hone se traders ki trading disrupt ho rahi hai aur wo stress me aa rahe hain.
2. Pakistani banks crypto transactions ko mashkook samajh kar support nahi kar rahe.
3. Crypto trading aur investment me uncertainty ki wajah se traders ko unsafe options explore karni par rahi hain.
Hal: Binance ko chahiye ke:
Pakistani banks ke saath mil kar crypto transactions ke liye clear policies banaye.
Binance-Pakistan P2P Merchant Program launch kare, jo fraud aur mashkook activities ka risk kam kare.
Agar ye steps liye jayein, to Binance apne users ko protect kar sakta hai, Pakistan me smooth trading operations ensure kar sakta hai, aur crypto trading ko zyada safe aur secure bana sakta hai.