đ„ Ethereum â Sirf Coin Nahi, Crypto Ki Jaan Hai! | Mera Write-to-Earn Safar đ„
Mujhe yaad haiâŠ
2016 mein mere ek dost ne bola tha:
âBitcoin aur Ethereum mein invest karo, future hai.â
Lekin maine hans ke jawab diya tha:
âYeh sab fraud hai bhai!â
Q ke us waqt mein Zeebuck naam ki company mein invest kiya tha â
thoda profit aaya, lekin phir company gayab!
Uske baad Click Per Earn naam ki aur scheme join ki â
starting mein paisa mila, lekin kuch mahine baad withdraw band ho gaya. đ
Is wajah se main ne dost ko bola:
âBitcoin bhi fake hi hoga, sab drama hai.â
đł Lekin Galat Tha MainâŠ
2024 mein jab crypto market dobara active hua, to curiosity se maine TikTok aur YouTube pe crypto videos dekhna start kiya.
Spot trading se shuru kiya â chhoti chhoti trades â aur dheere dheere confidence aaya.
Aaj kal futures trading bhi kar raha hoon.
Expert nahi hoon, lekin apne liye achha kar raha hoon.
đ Ab Kyun ETH Pe Likh Raha Hoon?
Jab maine crypto ko seriously lena start kiya, to sabse zyada interest Ethereum (ETH) mein aaya.
Kyun?
âą Yeh sirf coin nahi, poora Web3 platform hai
âą Smart contracts, NFTs, aur DeFi â sab kuch ETH ke eco-system ka part hai
âą ETH 2.0 ke baad staking ka bhi option hai
âą Institutions bhi ETH accumulate kar rahe hain
đââïž Mera Pehla Step on Binance Square
Mujhe trading se hat kar writing ka option mila Binance Square pe, to socha â
kyun na likh kar kamaaya jaye?
Mujhe writing ka shauq bhi hai, aur ETH mein believe bhi â
is liye yeh mera pehla post hai.
â Aap Ka Experience Kaisa Raha?$
Kya aapne bhi kabhi Bitcoin ko fake samjha tha? đ
Ya kis tarah crypto mein aaye ho?
đ Comments mein zaroor share karo â aur pasand aaye to follow bhi kar lena.
Letâs grow together đȘ
#Ethereum #CryptoJourney #BinanceSquare #WriteToEarnBinance #ETH2025
