India aur Pakistan mein rozana hazaron log P2P scam ka shikar hote hain, aur zyadatar new traders in jalsazon ke haath lag jate hain. Trading itni asaan nahi hoti jitni log sochte hain. Sapne le kar aate hain lekin scam ka samna karte hain aur phir apna paisa lose kar dete hain.
Isay ek simple misaal se samjho: agar aap phal wali dukan par jao aur ek thelay par kele 60 rupay darjan likhe ho aur doosray par 55 rupay, to aksar log 55 walay lete hain kyunke 5 rupay bach rahe hote hain. Lekin sawal ye hai ke jab market rate 60 hai to koi 55 mein kyun bech raha hai? Simple jawab hai ke usme kuch kharabi hoti hai.
Bilkul aisi hi situation P2P trading mein hoti hai. Jo banda market rate se sasta de raha ho, usmein scam ka chance ziada hota hai.Safe rehne ke rules:
Sirf verify merchants se deal karo.
“Too good” offers par kabhi trust na karo.
Apni amount ko chhoti portions mein trade karo.
Payment confirm huye baghair kabhi funds release na karo.
Agar aap ye golden rules follow karoge to P2P scam se bach kar safe trading kar sak