🚨 Binance P2P Alert – Stay Safe! 🚨

Dosto, P2P par scams bohot fast spread ho rahe hain. Trade karte waqt yeh steps follow karo šŸ‘‡

1ļøāƒ£ Fake Bank Payment / Reversal

• Chori ya third-party account se payment.

• Crypto release kar do, baad mein transaction reverse.

Tip: Sender ka naam order se match karo.

2ļøāƒ£ Fake Screenshot / Receipt

• Buyer fake screenshot ya SMS bhej deta hai.

• Crypto release mat karo sirf screenshot pe.

Tip: Bank/wallet login se verify karo.

3ļøāƒ£ Cancel Order Trap

• Scammer kehta hai technical issue hai.

• Cancel karne par Binance protection khatam ho jati hai.

Tip: Tabhi cancel karo jab 100% sure ho.

4ļøāƒ£ Triangle / 3rd Party Scam

• Payment kisi aur ke account se aata hai.

• Asli owner complaint kare, aap phas jao.

Tip: Sender ka naam Binance username se match karo.

āœ… Avoid Dispute & Bank Freeze:

• Payment confirm hone ke baad hi crypto release karo.

• Large trades avoid karo, choti safe trades karo.

• Sirf verified & high-rating users ke sath trade karo.

• Apna bank account sirf verified trades ke liye use karo.

• Suspicious lage? Trade rok do & report karo.

šŸ“¢ Stay alert, trade smart, aur community safe rakho!

Agar koi naya scam dekha, comments mein share karo.