🛑 P2P Scam Kaisay Hota Hai? Pakistan mai bohot se log Binance P2P use kar ke crypto buy/sell karte hain. Lekin scammers is system ka ghalat faida uthate hain. Aksar ye tareeqe use hote hain:
1. Fake Payment Screenshot – Scammer apko edited receipt bhejta hai aur kehta hai paisa bhej diya, jab ke asal mai payment nahi hoti. 2. Third-Party Account – Apko bola jata hai ke paisa kisi aur ke account mai bhejo. Later, wo paisa fraud hota hai aur apka account risk mai aa jata hai. 3. Pressure & Urgency – Scammer kehta hai “jaldi release karo warna dispute kar dunga.” Is pressure mai users galti kar dete hain. 4. Off-App Communication – WhatsApp/Telegram par le ja kar deal ki jati hai jahan koi security nahi hoti.
✅Scam Se Bachne Ke Tareeqe
1. Sirf Verified Traders se deal karo jinke positive feedback zyada hon. 2. Payment hamesha apne naam ke bank account se bhejo aur wahi accept karo. 3. Jab tak paisa clear balance mai na aaye, kabhi bhi “Release” button mat dabao. 4. Deal sirf Binance app/chat ke andar hi finalize karo, app ke bahar communication avoid karo. 5. Agar koi issue ho to foran Dispute/Appeal option use karo aur chat record save rakho. 6. Suspicious ads aur users ko Binance par report karna na bhoolo.
👉 Yaad rakho: Fast aur guaranteed profit sirf scam hota hai. Safe rehna apke apne haath mai hai