*Market thoughts in URDU* 💭

‼️‼️‼️🚨🚨🚨‼️‼️‼️‼️

Jab Bitcoin ETF (ya Ethereum ETF) mein bohot zyada paisa ek hi waqt mein inflow hota hai — jaise BTC ke case mein $1B se zyada, ya ETH ke case mein $500M ke aas-paas — to aksar us waqt market apne local top ke qareeb hoti hai.

Dusre lafzon mein:

• Itne bade inflows ka matlab hota hai ke public aur institutions already bohot bullish ho chuke hain.

• Jab hype peak pe hoti hai, to aksar short-term mein price ke upar jane ka pressure kam ho jata hai aur correction aata hai.

• Is liye aise inflow peaks ko ek potential warning sign samjha jata hai ke price short-term mein gir bhi sakta hai.

$BTC

$ETH