ajj mai apko future trading ke bare mai sab kuch bataon ga with point of shariah.aur kuch prove bhi share karoonga jo har banda is cheez ko nahi samaj pata ke dara sal is mai kia hota hai.
Sunan Abi Dawud: hadith 3503
Hakim ibn Hizam ne Nabi ﷺ se poocha: Kya main aisi cheez bech sakta hoon jo mere paas mojood nahi?
Nabi ﷺ ne farmaya: Jo cheez tumhare paas nahi, use na becho.
is se humain ye pata chalta hai ke nabi {PBUH} ne kaha ke physically cheez apke kapze mai nahi hai to mat becho.us waqt ke daur mai digital cheezien nahi hoti thi.han future trading mai coin apke kapze mai nahi hota lekin uska agreement ya contract hona lazmi hai to halal bhale hi apke qabze mai na ho.jaise dropshipping mai hota hai ap kisi ka product us se poch kar age bechte ho.aur product apke qabze mai hai hi nahi.
Surah Al-Baqarah Ayat 282:
ab bari ati hai ke leverage jismai loan hota sood nahi hota hai.quran ki ayat 282 mai saaf bataya hai ke agar ap loan lete ho to agreement hona lazmi hai.ismai interest nahi hota aur agar app funding fees ki baat kar rahe hain to wo age chal ke baat bataonga.aur sood wo hota hai jo paise ap lete hain aur uspar interest charge ho raha wo haram hai.
Funding Fees:
funding fees ek services charges ki tarha hai. ismai koi sood nahi hai.jaise ap kisi bank mai paise transfer karte ho aur bank kuch transfer karne ke thori fees charge karta hai jo sood nahi hota.
#ETHBreaks4000 #CryptoIn401k #Notcoin #USFedNewChair #BuiltonSolayer