🚨 FRAUD ALERT | URGENT #P2P SCAM REPORT 🚨

Main ye is liye share kar raha hoon taa ke puri crypto community safe rahe. Mere sath abhi ek serious p2p fraud hua hai jo kisi ke sath bhi ho sakta hai. ⚠️

🧾 Waqiya:

Maine 749 $USDT P2P par sell kiya. Buyer ne bank payment bhejne ka drama kiya. Jab mujhe payment ka confirmation jesa message mila, maine crypto release kar diya.

❌ Lekin phir trap activate hua.

Buyer ne$USDT receive karne ke baad bank me jhoota fraud claim file kiya, aur mera bank account block ho gaya. Ye poora pre-planned scam tha.

Ye fraudster karta kya hai?

🔹 Apne aap ko legit buyer dikhata hai

🔹 Fake ya temporary payment send karta hai

🔹 Seller se crypto release karwata hai

🔹 Phir bank ko fraud report karke aapke funds freeze karwa deta hai

💣 Ye sirf chori nahi, balki cybercrime hai jo international financial fraud laws ke tehat punishable hai.

❗ TRADERS BEWARE:

✔️ Payment 100% verify kiye bina crypto release na karein

✔️ Sirf fully verified buyers ke sath deal karein

✔️ Binance P2P par hamesha alert rahein

📢 Apas me ye message spread karein. Save karein. Share karein.

Hum sab mil kar in scams ko expose aur shut down kar sakte hain.

⚠️ Agar aap victim hue hain to chup na rahein, awaz uthayein!

📲 Binance Support ko report karein.

#ProjectCrypto #TrumpTariffs #MarketPullback #WhiteHouseDigitalAssetReport