Buy SOL Now or Wait for More Dip? 🤔
Mere paas 300 USDT hain… aur mera plan hai ke Solana (SOL) buy karun. Abhi SOL ka rate $160 pe chal raha hai.
Kuch din pehle yeh $206 tak gaya tha… lekin ab market down hai is liye price wapas $160 pe aa gaya hai.
Ab confusion yeh hai:
Kya main is price pe SOL buy kar lun ya thora aur wait karun?
Kya pata market aur neeche aaye aur $140–$150 mil jaye?
Lekin dusri taraf darr bhi hai ke kahin yeh wapas pump na kar jaye — aur phir $160 ka yeh moka bhi hath se chala jaye 💭
Aap log kya suggest karte ho?
📉 Wait karna chahiye ya
📈 Isi price pe buy kar lena chahiye?
Mera target at least 1 or 1.5 SOL lena hai…
Zaroor batana bhaiyon – har suggestion matter karega!