Title: $BNB 748$ pe Stable Hai Lekin Indicators Kuch Aur Keh Rahe Hain
$BNB aaj kal zyada movement nahi dikha raha — aaj ka rate $748 ke aas paas hai.
📊 Indicators Ka Scene
MACD (4H chart)
MACD line abhi negative mein hai, lekin signal line ke paas hai. Agar crossover hota hai, to short-term bullish move aa sakta hai.
RSI (Relative Strength Index)
RSI abhi 46–48 ke darmiyan hai — iska matlab na coin overbought hai, na oversold. Yeh zone usually breakout se pehle aata hai.
Volume
Thoda volume increase hua hai green candles ke sath iska matlab kuch log silently accumulate kar rahe hain. Market halka halka active ho raha hai.
Moving Averages
5‑day average to buy signal de raha hai, lekin 20 aur 50‑day average pe price thoda pressure mein hai. Yeh zones resistance ban sakte hain.
🧠 Simple Analysis
Agar $BNB $770 ke upar break kare with volume, to price $800+ tak ja sakta hai. Lekin agar price $720 se neeche gaya, to correction aasakta hai. Aur yah price $690 tak bhi ja sakti hai.
My Strategy:
Main abhi wait kar raha hun. Agar price $720 kay neechy jati hai to mai $690 dollars k kareeb isko buy karun ga aur agar $720 say upar jati hai to mai foran buy kar lu ga kyunkay phir price wapis $800 tak aa sakti hai.
Aur haan, agar BNB hold kar rahe ho, Launchpool mein stake karo free tokens milte hain.
#bnb #Write2Earn #crypto #ProfitPotential #TrumpTariffs2025