Crypto world mein har din naye log aate hain — kuch profit bana ke chalay jaate hain, aur kuch sirf screenshots dekhte reh jaate hain.
Main bhi unhi logon mein tha jo har pump coin ke peechay bhaagta tha.
$DOGE pump hua? Buy.
$SHIB trend mein? FOMO.
Aur phir kya hota tha? Coin dump... aur meri hope bhi.
---
Lekin ek din maine khud se poocha:
"Tu trading kar raha hai ya gamble?"
Us din ke baad maine kuch chhoti chhoti cheezein change ki:
1. Har coin ka use-case samjha.
Agar coin ka kaam samajh na aaye, sirf chart dekh ke invest nahi karta.
2. Stop loss lagaya.
Emotional decisions se nuksan hota hai — stop loss ne mujhe bachaya.
3. Sabr seekha.
Daily trading nahi, weekly ya monthly setup banaya.
---
Ab kya karta hoon?
Main $SOL , $BNB, aur kabhi kabhi $LINK ya $FET jese coins pe nazar rakhta hoon.
Short-term ke liye breakout trades, aur long-term ke liye sirf $BTC aur $ETH pe DCA.
Apne capital ko protect karna sabse important hai — profit to baad mein bhi aa jaata hai.
---
📢 Final Message
Crypto mein paisa kamane ka raaz hype nahi — planning hai.
Agar har baar FOMO mein buy karoge, to market tumse zyada smart niklega.
Isliye:
✔️ Learn charts
✔️ Study projects
✔️ Follow patience
---
Agar aap bhi trading mein serious ho, to follow zaroor karo.