🧠 Introduction:


AoA doston! Aaj main aapko apni real story bata raha hoon jo maine khud experience ki, aur is say aapko 100% proof ke sath samajh aye ga ke PI Network ka pura system scam hai ya sach! Yeh article specially un logon ke liye hai jo PI mining kar rahe hain aur soch rahe hain ke kab inki earning unlock hogi.




🚨 Mera PI Migration & Locking Ka Full Scene:


Mera PI successfully migrate ho gaya tha, aur wallet mein aa gaya.



  • Public key bhi “json” name wale bande ka tha


  • 90% mera PI lock ho gaya tha 3 saal ke liye


  • Sirf 10% unlock hone ke liye wait tha


  • Unlock hone ki date thi 18.06.2025 - 11:00 AM


Uss din mujhe thoda sa PI mila (0.02) 10:30 AM par.

Aur 11:00 AM par full 100 PI automatically wallet mein aaya.




⚠️ Shock #1 – Automatic Claim & Transfer:


Jaise hi PI aaya wallet mein, "CLAIMED" ho gaya aur transfer bhi ho gaya.



  • Mera balance 0 ho gaya!


  • Transaction history check ki toh fir usi “json” naam ka banda tha


  • Lekin public key different thi


Phir maine Pioneer (Pi Chat) se maloom kia toh unhone bola:

“Gas Fees honi chahiye thi warna funds move ho jate hain.”


Lekin mujhe kisi ne pehle kabhi inform nahi kia!




🧪 Proof #2 – Hacker Waiting Tha?


Aaj 21-06-2025, maine MEXC exchange se PI coin kharida

Aur jese hi maine usay wallet mein transfer kia,

0.48 PI instantly receive hua

BUT! Within seconds woh bhi auto-transfer ho gaya!


Phir se name “json” ka tha, magar public key again different thi!

Lagta hai hacker har moment ready tha jaise mera wallet trace kar raha ho.




📲 Mere Pass Hai 100% Proof:



  • Public Key Address


  • Block Hash


  • Wallet Transaction Details


  • Full Screenshots


  • WhatsApp Par Bhi Share Kiya Gaya Hai




🧨 Conclusion – Yeh Hai PI Network Ka Sach:


PI Network ka system bilkul unsafe hai

Jab tak gas fees ka clear system nahi hota, koi bhi earning safe nahi

Mere jaise kai logon ke PI coins already hijack ho chuke hain


Is liye agar aap Binance, MEXC, ya kisi aur exchange se PI buy kar rahe ho toh:
Zaroori hai wallet secure ho, aur gas fees available ho




📈 Binance Par Jo Trending Hai:


Abhi Binance par sabse zyada log scam alerts aur PI coin ka future discuss kar rahe hain. Log ab PI coin se doubtful ho gaye hain, aur dusri cryptocurrencies ki taraf move kar rahe hain jaise:



  • BTC (Bitcoin)


  • ETH (Ethereum)


  • SOL (Solana)


  • TON (Toncoin)




🛑 Final Advice:


Agar aap PI Network mein ho, toh apne coins ki private key secure rakhein

Gas fees zaroor wallet mein rakhein

Aur kisi bhi suspicious name ko “CLAIM” ka access na dein




💬 Aap Ki Ray:


Aap bhi agar is tarah ka kuch face kar chuke ho,

Toh niche comment karo ya WhatsApp screenshot bhejo

Ham mil kar PI Network scam ka sach sab ke samne laayenge 💪