Aaj subah crypto market ne thori growth dikhayi hai. Fear & Greed Index 73 pe hai aur upar ki taraf hai, jo batata hai ke investors ka confidence badh raha hai. Bitcoin ka dominance 64.23% ho gaya, jo 0.07% kam hua, matlab altcoins mein thora interest badh raha hai. Pure market ki value $3.43T ho gayi (+1.06%), aur altcoins ka market cap $1.23T pe pahunch gaya (+1.20%).
24 Ghante Ke Price Movements:
Bitcoin: $110,719 (+2.57%) – Strong hold
Ethereum: $2,607 (+0.26%) – Slow but steady
Solana:$175.56 (+2.60%) – Recovery mode
BNB: $680.20 (+2.83%) – Consistent growth
XRP: $2.40 (+0.61%) – Mild improvement
Dogecoin:$0.24 (+1.97%) – Meme coin bouncing
Market ka mood positive hai, lekin Bitcoin ke dominance mein slight drop se lagta hai ke altcoins mein thora movement ho raha hai. BNB aur Solana achha perform kar rahe hain, jabki Ethereum aur XRP slow hain.