“Naya Trader Ho? Coin Mein Entry Se Pehle Yeh Zaroor Dekho!”
Agar aap naye trader ho aur kisi bhi coin mein entry lene ka soch rahe ho to yeh 8 simple cheezein zaroor check karo — warna loss ho sakta hai!
1. Trend samjho (Market ka rukh):
Sbse pehle dekhna hai market ya coin uptrend mein hai ya downtrend mein. Trend ke khilaf entry lena risky hota hai.
2. Support & Resistance:
Chart par support aur resistance levels identify karo. Support ke paas entry lena safe hota hai, resistance ke paas entry lena risky.
3. Volume ka check:
Volume se pata chalta hai ke log us coin mein interest le rahe hain ya nahi. High volume = strong move.
4. News & Updates:
Coin ke related koi news ya update to nahi? Achhi news se pump ho sakta hai, negative news se dump.
5. Timeframe ka selection:
Entry lene se pehle multiple timeframes (1H, 4H, Daily) dekhna acha hota hai taake clear idea milay.
6. Stop Loss aur Target tay karo:
Entry se pehle apna Stop Loss (SL) aur Take Profit (TP) fix karo. Plan ke bagair trade mat lo.
7. Market sentiment check karo:
Fear & Greed Index ya logon ka mood dekh lo. Sab greed mein ho to thoda cautious raho.
8. Risk Management:
Kabhi bhi apne capital ka 1-2% se zyada risk mat lo. Hamisha capital bachana zaroori hai.
Note:
Trade lene se pehle soch samajh kar decision lo. Emotions ko control mein rakho aur hamesha plan ke sath trade karo.
Follow karo aur share karo agar yeh post helpful lagi ho. Safe trading!