Trump ki nai tariff policy aur historical tax cuts dono milkar U.S. economy ko short-term boost de sakte hain. Corporate profits aur domestic growth barhne ki umeed hai, jo markets ko bullish bana sakti hai.
Lekin doosri taraf, yeh aggressive trade measures global trade uncertainty ko badha sakti hain, jiska impact emerging markets aur supply chains par padega. Inflationary pressure bhi badh sakta hai, jisse long-term volatility ka risk hai.
Crypto markets ke liye yeh double-edged sword hai:
Dollar ki strength aur inflation fears BTC jaise assets ko hedge ke taur par attractive bana sakte hain.
Lekin global liquidity squeeze hone par risk assets, including crypto, short-term pressure me aa sakte hain.
Meri nazar me mid-2025 ke liye $BTC aur broader crypto market bullish remain karte hain, lekin volatility ke liye ready rehna zaroori hai.
Aapki kya strategy hai? Dip pe buy karoge ya sidelines par rahoge?