US CPI Data – May 13, 2025

Core #cpi m/m (Month-on-Month):

Isme food aur energy prices ko exclude kiya jata hai, kyun ke yeh prices bohot volatile hoti hain. Core CPI kaafi important hota hai kyunke yeh long-term inflation ka trend batata hai.

#CPI数据 m/m (Month-on-Month):

Yeh monthly basis par measure hota hai ke prices kitni change hui hain. Iska direct asar consumer spending aur market sentiment par hota hai.

CPI y/y (Year-on-Year):

Yeh annual basis par inflation ki rate batata hai, yani ke ek saal pehle ke comparison mein prices kitni increase hui hain. Yeh zyada important hota hai kyunke central banks isko closely monitor karte hain to decide interest rate policies.


CPI Data (Previous, Expected, and Actual)

US Core CPI m/m (Month-on-Month):

Previous: 0.1%

Expected: 0.3%

Actual: 0.2%

US CPI m/m (Month-on-Month):

Previous: -0.1%

Expected: 0.3%

Actual: 0.2%

US CPI y/y (Year-on-Year):

Previous: 2.4%

Expected: 2.4%

Actual: 2.3%


Aaj ka CPI data overall market ke liye positive #signal deta hai. Teeno indicators — Core CPI m/m, CPI m/m, aur CPI y/y — expected levels se neeche aaye hain. Iska matlab yeh hai ke inflation ka pressure thoda soften ho gaya hai.

Core CPI ka 0.2% par ana (vs 0.3% forecast) yeh dikhata hai ke fundamental inflation (excluding food & energy) abhi aggressive nahi hai. Yeh Fed ke liye achi news hai, kyun ke policy decisions mainly core inflation ke basis par liye jaate hain.

CPI m/m bhi 0.2% par raha jo forecast se kam hai. Iska matlab hai ke overall consumer prices slow pace se barh rahi hain — jo demand-led inflation concerns ko reduce karta hai.

CPI y/y 2.3% par raha vs 2.4% forecast — isse yeh confirm hota hai ke year-over-year inflation trend bhi thoda soften hua hai. Yeh Fed ke interest rate cut cycle ke liye ek supportive indicator ban sakta hai agar yeh trend continue karta hai.

Yeh numbers market ke liye supportive hain — specially stocks aur risk-on assets ke liye.