#AltcoinETFsPostponed Altcoin ETF Postponed Kya Yeh Buri Khabar Hai Ya Moka hy 🫣
30 April 2025 ko Binance per trending hashtag #AltcoinETFPostponed ne sab ka dhyan kheench liya!
SEC ne Delay kar diya hai
U.S. ki SEC ne XRP aur Dogecoin ($DOGE ) ke ETFs ke decision ko June 2025 tak postpone kar diya hai.
Yani jo log chah rahe thay ke in altcoins ke ETFs approve ho jaayein, unko ab thora aur intezar karna hoga.
Bitwise Dogecoin ETF ab iska decision 15 June ko aayega
Franklin XRP Fund iska faisla 17 June tak delay hua
Aur Solana (SOL) aur Hedera (HBAR) ke ETFs bhi ab October 2025 ya uske baad consider honge
Filhal market zyada panic nahi hua DOGE aur XRP ki price mein sirf choti si movement dekhi gayi hai.
Lekin traders mein uncertainty zaroor barh gayi hai.
Experts keh rahe hain ke ETFs ka approve hona ab sirf waqt ka sawal hai October 2025 tak kaafi positive signals mil sakte hain.
Yani yeh delay short-term mein loss, lekin long-term mein moka ban sakta hai!
Agar aap long-term investor ho, to yeh waqt research aur positioning ka hai, panic ka nahi!