$SOL Solana ETF Delay – Market Mein Halka Pressure
SEC ne Solana ETF application ka faisla mo’khar kar diya hai, jo ke expect kiya ja raha tha. Iss delay ke baad SOL price mein halka sa pressure dekha gaya, lekin investors ab bhi hopeful hain. Analysts ke mutabiq yeh sirf ek technical delay hai, aur October tak approval ke chances maujood hain. Solana ecosystem grow kar raha hai, DeFi aur NFTs mein adoption barh raha hai. ETF approval long-term bullish signal ban sakta hai. Filhal market cautious hai, lekin sentiment negative nahi. Kya SOL agle bull run ka leader banega? Nazar rakhein!