Binance Market Update – April 2025

Aaj kal crypto market mein kaafi interesting movement ho rahi hai, khas kar Binance platform par. Binance ne Q1 2025 mein $2.2 Trillion ka record spot trading volume hit kiya hai — aur market share bhi badh kar 40.7% tak chala gaya hai

Bitcoin (BTC) is waqt around $84,561 trade ho raha hai, chhoti si growth ke saath +0.22% upar gaya hai.

BNB (Binance Coin) bhi halki si increase ke saath $592.36 tak pahunch gaya hai.

Agar gainers ki baat karun to👇

T Token ne +43% ka zabardast pump dikhaya

MEME coin bhi +40% upar gaya

CHESS ne bhi +29% ka gain kiya

Wahin kuch bade coins ne loss bhi dekha:

Ethereum (ETH): -4.21%

XRP: -4.48%

Solana (SOL): -5.80%#

Ek aur interesting baat ye hai ke Strategy firm ne recent BTC dip ka faida uthaya aur 3,459 BTC kharid liye – ab unke paas total 531,644 BTC hain jo total supply ka 2.5% ban jata hai!

Market sentiment abhi bhi mixed hai. Fear & Greed Index 32 par hai, iska matlab log cautious hain.

Regulatory side pe bhi Binance ne U.S. authorities ke saath discussions start kiye hain, aur Trump-backed World Liberty Financial ke saath possible deal ki baat ho rahi hai.

Aapka kya kehna hai?

Kya aapko lagta hai ye bull run continue karega ya correction aane wala hai?

Comment mein zaroor batayein aur post ko like/share karna na bhoolen agar aapko useful lagi ho#SolanaSurge #BinanceAlphaAlert #BTC ##bitcoin