🚨 Bitcoin All-Time High pe hai, toh Altcoins Pump Kyun nahi kar rahe?

Yaar, Bitcoin toh naye records bana raha hai, lekin altcoin market abhi bhi flat hai. Iski kuch khaas wajahain yeh hain:

1. Bitcoin ki Dominance barh rahi hai

Zyada paisa Bitcoin mein aa raha hai, baaki market ke muqable. Jab dominance barhti hai na, toh iska matlab hota hai ke altcoins ko log itna ghaas nahi daal rahe. Zyada tar investors ke liye pehla stop BTC hi hota hai.

2. Altcoins ki Bharmaar hai

Hazaron ki tadaad mein altcoins hain, aur un mein se kaafi aise hain jinke use cases overlap karte hain aur kuch khaas farq nahi. Capital patla ho jata hai, jiski wajah se kisi aik project ko strong momentum pakarna mushkil ho jata hai.

3. Ethereum abhi tak lead nahi kar raha

ETH/BTC ratio abhi bhi weak hai. Historically dekha gaya hai ke jab Ethereum mein achi run aati hai, tabhi broader altcoin rally shuru hoti hai. Jab tak ETH, BTC ko outperform nahi karega, zyada tar altcoins peeche hi rahenge.

4. Altseason aksar Bitcoin ke cool down hone ke baad aata hai

Altcoins aksar tab move karte hain jab Bitcoin apni major run finish kar leta hai ya consolidation phase mein chala jata hai. Abhi saara focus Bitcoin par hai. Altcoins ki baari thori der se aati hai.