Bhai dekho is week ka scene yeh hai Wednesday ko USA ka PPI report aayega aur Thursday ko CPI report aayega
Ab samajhne wali baat yeh hai hum Pakistan walay kyun US ka data dekhte hain
Simple baat hai jaise yahan sab dollar ka rate dekhte hain kyunki sab kuch us se linked hota hai waise hi duniya bhar ka finance US economy aur Fed ke interest rate pe chal raha hota hai
PPI matlab Producer Price Index ye woh hota hai ke factory ya wholesale level pe cheezon ki cost kitni barh rahi hai agar PPI zyada aayega to iska matlab aage jaake cheezain mehngi hongi
CPI matlab Consumer Price Index ye aam bande ke liye cheezon ki qeemat kitni barh rahi hai grocery atta chawal doodh sab isme cover hota hai
Fed unka State Bank of Pakistan samajh lo jo decide karta hai ke loan aur borrowing ka rate kya hoga jab Fed rate cut karta hai to paisa sasta hota hai market upar chalti hai aur jab rate tight karta hai to paisa mehnga hota hai market neeche girti hai
Ab asar kya hota hai
Crypto BTC ETH jaise coins agar inflation kam aata hai to Fed rate cut karega aur crypto upar jayega agar inflation zyada nikla to crypto pressure me aa jayega
Stocks bhi isi tarah react karte hain rate cut matlab rally delay matlab selloff
Gold inflation hedge hai agar lagay ke inflation ruk nahi raha to sona upar chala jata hai warna stable rehta hai
Pakistan time ke hisaab se yeh reports zyada tar shaam ke 5:30 baje se 6:00 baje ke darmiyan aati hain kyunki New York ka time subha 8:30 hota hai aur wo hum se 9 ghante peeche hain
Yeh data dekhne ke liye tu simple investing.com ka economic calendar khol le ya forex factory calendar wahan likha hoga US CPI ya US PPI aur Pakistan ke local time ke saath show hota hai
Seedhi baat Fed ko mohalla ka dada samajh lo PPI aur CPI uske mood check karne ke indicators hain agar mood acha inflation low to market pump agar mood kharab inflation high to market dump