🚨 XRP Scam Alert! Fake Giveaway, Deepfake Video, Loss of Funds 🚨

Ripple ke CEO Brad Garlinghouse ne warning di hai ki XRP holders ko target karne wale dangerous scams chal rahe hain. Scammers ne YouTube channels hack karke Ripple ka official look diya hai, aur AI deepfake videos ke through Garlinghouse ki fake speech dikhayi ja rahi hai. Scam me bola ja raha hai: “100 XRP bhejo, 200 wapas milega.” ⚠️

Yeh pure scam hai. Ripple ne kabhi bhi aisa giveaway announce nahi kiya. Kai log already apna crypto kho chuke hain, bas ek QR code scan karke ya fake site pe click karke.

Abhi XRP ne recently $3.60 tak ki rally maari thi, lekin fir se price me 10% ka crash aaya. Isi price hype ka scammers faida utha rahe hain. Ripple ke CTO David Schwartz ne bhi bola: “Verify karo, har claim ko cross-check karo.”

XRP holders beware! Agar koi live stream, post ya video “official giveaway” ka promise kare — to 100% fake hai. Ripple kabhi aise direct token nahi maangta.

🛑 Soch samajh kar invest karo.

🧠 Scam se bacho, smart bano.

---

#xrp #CryptoScamSurge #RippleUpdate #Deepfake #crypto