Leverage Aur Margin Trading Kya Hai?
Margin Trading:
Isme aap exchange se udhaar le kar trading karte hain.
Aap apne paas kuch capital rakh kar baqi paisay borrow kar ke badi position le sakte hain.
Example: Aapke paas $100 hain aur $100 aur borrow kar ke $200 ki trade kar lete hain.
Leverage Kya Hai?
Leverage ka matlab hai apni capital ko kitna multiply kar ke trade lena.
2x leverage = aapki capital 2 guna
5x leverage = aapki capital 5 guna
Is se profit bhi zyada hota hai aur risk bhi zyada hota hai.
Example:
Agar aap 5x leverage se BTC khareedte hain aur BTC 2% upar jata hai, aapko 10% profit hota hai.
Lekin agar 2% neeche jata hai to 10% loss bhi ho sakta hai.
Risk Management Zaroori Hai:
High leverage se jaldi profit aata hai lekin jaldi loss bhi ho sakta hai.
Hamesha stop-loss lagayen aur small leverage se shuru karein.
Yaad Rakhein:
Leverage aur margin trading advance traders ke liye hoti hai. Seekhne aur market samajhne ke baad hi use karein.
#LeverageTrading #MarginTrading #CryptoTrading #LearnTrading #RiskManagement