🚨 Binance Updates: ZEC, ENA, PYTH, TAO & W ke Tags Hataye Ja Rahe Hain!
Binance ne recent review ke baad kuch coins ke upar se Monitoring Tag aur Seed Tag hataane ka faisla kiya hai — effective from 9 July 2025.
📌 Monitoring Tag remove hoga:
Zcash (ZEC)
📌 Seed Tag remove honge:
Ethena (ENA)
Pyth Network (PYTH)
Bittensor (TAO)
Wormhole (W)
Yeh Tags hotay kya hain?
🔍 Monitoring Tag un tokens par lagta hai jo zyada risky ya high-volatility wale hote hain.
Binance unko closely monitor karta hai aur agar coin Binance ke standards pe pura nahi utarta, to delisting ka bhi risk hota hai.
🌱 Seed Tag naye aur innovative projects ke liye hota hai — jinmein growth potential hota hai, lekin risk bhi zyada hota hai.
🛠️ Binance har kuch waqt baad in projects ka review karta hai aur dekhta hai:
Team kitni serious hai
Development kitna strong hai
Volume aur liquidity ka level
Network secure hai ya nahi
Community ke sath transparency
Regulatory compliance
Tokenomics mein koi negative change to nahi
Aur overall community sentiments
✅ In tokens ke related baaki Binance services pe koi farq nahi padega.
Bas tags remove kiye ja rahe hain — jo generally ek positive signal mana jata hai.
Yeh ek aur step hai Binance ki taraf se transparency aur long-term growth ko support karne ke liye.