Internet Capital Markets (ICM) Kya Hain?
ICM ka matlab hai ke ab aap blockchain ke zariye paise raise kar sakte hain ya invest kar sakte hain — bina kisi bank, investor ya VC (venture capitalist) ke.
Aap sirf ek post karke apna token launch kar sakte hain, aur log usme invest kar sakte hain. Yeh system puri tarah online aur open hota hai.
ICM Kaise Kaam Karta Hai?
• ICM platforms blockchain ka use karte hain.
• Aap ek simple social media post se token launch kar sakte hain.
• System khud price set karta hai aur investors ko token distribute karta hai.
Is tarah se koi bhi banda, bina coding ya permission ke, apna idea dunia ke samne laa sakta hai.
ICM Token Kya Hota Hai?
Yeh digital token hota hai jo kisi naye project ka hissa hota hai.
Token lene se aap:
• Project ke faislon mein vote de sakte hain
• Pehle features use kar sakte hain
• Lekin yaad rahe, yeh company ke shares nahi hote
ICM Ke Faide:
1. Har koi hissedaar ban sakta hai – bas wallet hona chahiye
2. 24/7 invest ya sell kar sakte hain
3. Fund lena asaan – sirf aik post se token launch
4. Social media pe viral ho sakta hai
ICM Ke Nuqsanat:
1. Scam ka risk – regulation nahi hoti
2. Price ka up-down – kabhi bhi zyada gir ya barh sakti hai
3. Security issues – agar wallet hack ho gaya to paisa chala gaya.
Akhri Baat:
ICM ek powerful tareeqa hai idea ko paisa mein badalne ka.
Lekin ismein boht zyada risk bhi hai.
Agar aap support karna chahein, to research zaroor karein — aur sirf utna invest karein jitna loss ho jaye to afsos na ho.
#InternetCapitalMarkets #ICMToken #BlockchainFunding#TokenLaunch #CryptoEducation#Web3Explained #CryptoProjects#RaiseCapitalOnline #TokenEconomy#DeFi#CryptoForEveryone #CryptoRisks #InvestResponsibly #DYOR #CryptoScams#NotFinancialAdvice #Web3Innovation #DigitalAssets #FutureOfFinance#CryptoTalks #CryptoInvesting101#DecentralizedFinance #CryptoTrends #ICMExplained #ICMOnBlockchain #Web3Community #TokenUtility #LearnCrypto