Aaj ka Article un tamam doston ke liye hai jo Binance se pesa kama ke usay apne Pakistan ke bank account, jazzcash ya easypaisa mein transfer karna chahte hain. Aasan aur mukammal tareeqa yahan par samjhaaya jaa raha hai, taake aap asaani se apna munafa nikaal kar usey apne zaroorat ke kaamon mein laa saken.
1. Pehla Step: Crypto ko Pakistani Rupay mein tabdeel karna
Binance par aapka paisa asliyat mein ek digital sikka hota hai jese ke USDT, BTC ya BNB. Sab se pehle aapko apna yeh sikkon ko Pakistani rupay mein badalna hoga. Is ke liye Binance ke andar maujood “P2P” naam ka Option use karte hain.
Misal ke taur par agar aapke paas 100 USDT hain, to aap yeh 100 USDT kisi Pakistani kharidaar ko bech kar us se apne bank ya easypaisa mein rupay le sakte hain.
2. Doosra Step: P2P section kholen
Binance app open karen, phir "Wallet" section mein jaakar "Funding Wallet" select karen. Wahan se apna USDT ya doosri currency "Transfer" karen Funding Wallet mein. Us ke baad "P2P Trading" par click karen. Ab “Sell” ka option chunein, wahan par USDT select karen.
3. Teesra Step: Acha aur Purana kharidaar select karen.
List mein aapko kai log milenge jo aapka USDT khareedna chah rahe honge. Un logon mein se kisi ka profile dekhein jo zyada trades kar chuka ho aur uski rating achi ho, jese 95% ya us se zyada. Yeh is baat ka saboot hai ke wo shakhs bharosemand hai.
4. Chotha step: Sell order lagana aur maalumaat btana
Jis shakhs ko aap bechna chahte hain, us par click karen aur “Sell” ka button dabayein. Ab aapko apna paisa kis tareeqe se lena hai wo select karna hoga – bank, easypaisa ya jazzcash. Uski tafseel sahi sahi likhna bohat zaroori hai.
5. Paisa milne ke baad confirmation dena
Jab buyer aapke account mein paisa bhej dega, aapko SMS ya app notification ke zariye maaloom hoga. Jaise hi paisa aapko mil jaye, Foran Binance app mein jakar “Confirm Release” ka button dabayein taake aapka USDT us shakhs ko transfer ho jaye.
Ahem Mashwara
Kabhi bhi bina paisa receive kiye release ka button na dabayein. Har qeemat par confirmation ka intezaar karein. Sirf unhi buyers ko pasand karein jin ki achi rating ho.
Aasaan Misal
Agar kisi ke paas 100 USDT hain aur wo chahta hai ke isko 30,000 rupay mein bech kar apne easypaisa mein dale, to wo P2P pe jake kisi aise buyer ko dhoondhega jo 300 rate de raha ho. Phir wo usko USDT bech kar 30,000 asaani se le lega.
Koi baat samajh naa aai ho to comment kar ky puuch saktey hn aor Agar Article pasand aaya hoo to, like, share, Follow laazmi kar den. Shukriyaa
#Withdrawl #WithdrawalProblem #P2P #P2PScamAwareness #RanaUmarMinhas🇵🇰