Aaj kal crypto duniya mein ek naya naam charcha mein hai – TreasureFun. Is platform ne Binance users ko ek naye project $Tuft Token (TUFT) ke zariye earning ka moka diya. Lekin jaisay hi logon ne withdraws karne ki koshish ki, aik naya twist samne aaya – withdrawals rok diye gaye hain! To aakhir is mein sach kya hai? Aur kya aap ko TreasureFun ke zariye earning karni chahiye?
TreasureFun Kya Hai?
TreasureFun ek decentralized earning platform hai jo Binance ke zariye users ko games aur staking ke through $BNB TUFT tokens kamaane ka moka deta hai. Iska claim hai ke users daily income kama saktay hain sirf kuch simple tasks ya staking se.
Tuft Token – Hype Ya Scam?
$BNB Tuft Token ko launch karte waqt TreasureFun ne yeh wada kiya tha ke yeh token Binance Smart Chain (BSC) par operate karega aur jaldi hi liquidity provide ki jayegi. Lekin:
Users ki complaints samne aa rahi hain ke unke withdraws hold par hain.
Kisi bhi major exchange par $BNB TUFT ka koi trace nahin mil raha.
Website par transparency ki kami hai: Team ka koi profile ya roadmap details available nahi.
Withdrawal Issues – Sabse Bara Red Flag
TreasureFun ka sabse pehla issue users ka apna earned amount withdraw na kar pana hai. Yeh ek classic red flag hai jo kisi bhi potential Ponzi Scheme ya rug pull ki taraf ishara karta hai. Binance jese platform ka naam lena isay legit dikhane ki koshish ho sakti hai, magar Binance ne officially TreasureFun ka koi endorsement nahi diya.
Kya Yeh Scam Hai?
Agar hum following points ka tajziya karen:
Withdraws ka hold hona
Token ka Binance ya CoinMarketCap par list na hona
Transparency ki kami
High ROI (Return on Investment) ka jhoota wada
To yeh saaf hai ke TreasureFun ek dubious (mashkook) platform hai, jo logon ko jaldi paisa kamaane ka jhansa de raha hai. Aise platforms aksar nuksan mein khatam hotay hain.
Binance Users ke Liye Advice
DYOR (Do Your Own Research): Kisi bhi naye token ya platform mein paisa laganay se pehle uska background zaroor check karein.
Only use official DApps or launchpads listed on Binance.
Avoid giving access to unknown smart contacts.