⚖️ Neutral Candlestick Patterns (Na zyada bullish, na zyada bearish)
Single Candle Patterns:
1️⃣ Doji – Open aur close price lagbhag same hotay hain. Market mein confusion ya balance hota hai – agla move depend karega next candles par.
2️⃣ Spinning Top – Choti body aur dono taraf lambiyan wick hoti hain – market indecision ya low momentum dikhata hai.
3️⃣ Long-Legged Doji – Bahut lambi wick dono taraf – extreme indecision dikhata hai.
4️⃣ Dragonfly Doji – Sirf neeche wali wick hoti hai – buyers ne price ko push kiya, lekin confirm signal agli candle se milta hai.
5️⃣ Gravestone Doji – Sirf upar wali wick hoti hai – selling pressure dikhata hai, lekin direction clear nahi hoti jab tak agla candle na aaye.
6️⃣ High Wave Candle – Lambi wick dono taraf aur choti body – strong indecision aur volatility dikhata hai.
Double Candle Patterns:
7️⃣ Inside Bar – Doosri candle pehli candle ke andar hoti hai – low volatility aur breakout ka signal.
8️⃣ Harami Cross – Pehli badi candle aur doosri candle ek doji hoti hai jo pehle ke andar hoti hai – reversal ho bhi sakta hai ya nahi bhi.
9️⃣ Matching High/Low – Do candles jin ka high ya low same hota hai – support/resistance confirm karta hai, lekin direction ka wait karna hota hai.
Triple Candle Patterns:
🔟 Three Inside Up/Down – Pehle harami pattern hota hai, teesri candle us direction mein breakout karti hai – tab direction confirm hoti hai.
1️⃣1️⃣ Morning Doji Star / $ETH $BNB evening Doji Star (reversal patterns hain, magar jab center mein doji ho to neutral bhi ho sakte hain jab tak confirmation na aaye).