Crypto Trading Mein 6 Common Ghaltiyan Jo Nuqsaan Ka Sabab Banti Hain
Crypto trading mein hum sab kabhi na kabhi ghaltiyan kar chukay hain. Lekin agar aap in 6 common mistakes se bach gaye, to samjho aadha battle jeet liya!
Kisi ne bola "ye coin ud raha hai" aur humne le liya — bas wahi sabse badi ghalti hai. Apni proper research karo, samjho project kya karta hai. Warna loss aapka apna hoga.
"Sab buy kar rahay hain, main kyun nahi?" — Bhai, market hype pe nahi chalti. Har entry ka time hota hai. Hamesha apne plan ke sath chalo.
Sara paisa ek coin mein daal diya? Stop-loss ka naam nahi suna? Yeh toh nuksaan ki daawat hai. Diversify karo aur risk ko samjho.
Leverage dekh kar excited ho jana asaan hai, lekin bina samajh ke futures mein ghusna matlab apne funds se khelna. Pehle seekho, phir trade karo.
Thoda profit hua aur turant sell, ya dip aaya to panic mein bech diya — yeh short-term soch long-term fayda khatam kar deti hai. Patience rakho, strategy follow karo.
2FA nahi lagaya, password weak hai — to phir account hack hona sirf waqt ki baat hai. Binance par security sabse pehle honi chahiye.
Crypto mein trade karo, lekin samajhdari se. Socho, seekho aur secure tarike se invest karo. Follow karo aise hi real aur useful tips ke liye!
#CryptoTips #CryptoTrading #BinancePakistan #BinanceFeed #investsmartly $BTC $ETH $BNB