Dosto, aaj kal sabhi yehi poochh rahe hain – "Altcoins kyun chup baithe hain? Kya market dead ho gaya hai?" Toh main aapko apne analysis ke hisaab se ek clear picture dena chahta hoon.

Jab $BTC $BTC ne 109 (yaani $109K) ko touch kiya, tabhi se market mein ek psychological game chal raha hai. Badi whales jaanti hain ki log BTC ko dekh kar panic ya FOMO (fear of missing out) mein aa jaate hain. Woh chahti hain ki retail investors $BTC

BTC mein paisa lagaayein, taaki jab altcoins pump hoon, woh quietly unmein profit book kar saken.

Lekin doston, yeh sab ek trap hai! Altcoins ka season door nahin hai – hum Altcoin Season ke bilkul beech mein hain, bas patience ki zarurat hai.

Dekho, yeh crypto market hai – yahan sab kuch manipulation pe chalta hai. Jab sab BTC mein ghus jaate hain, tabhi whales quietly altcoins accumulate karte hain. Aur jab altcoins pump karte hain, tab retail log already thak chuke hote hain ya loss mein hote hain.

Toh meri salah yeh hai – panic mat karo. Altcoins apna time lenge, lekin jab pump aayega na, toh bada aayega.

$BTC, $SOL aur doosre major coins pe nazar rakho, lekin apne bags tight pakad ke raho. Market kabhi bhi flip ho sakta hai.

Stay sharp. Stay aware.

Yeh Altcoin Season ka waqt hai – sirf samajhne walon ke liye!