Binance write to earn program ek aisa program hai Jo Binance app mein apna content likh Kar share karnay walon ko rewards deta hai
Yeh kya hai?
Binance write to earn apko crypto Kay barayein articles, reviews, tutorials, ya koi bhi informative content likhnay of Binance Square par publish Karne ke liye pause deta hai
Apko jo reward milta hai woh is baat par depend karta hai ki aapke content par kitne log interact karte hain (views, likes, comments) aur agar log aapke content se inspire ho kar Binance par trading karte hain.
Yeh kaisay Kam karta hai?
Binance Account:
Sab say pehlay Binance app pay account banayen
Binance Square Profile: Aapko Binance Square par apna profile banana hoga .
Content Creation:
Aap crypto se related high-quality aur engaging content banate hain.
Publishing:
Aap apna content Binance Square par publish karte hain.
Jab log aapke content ko dekhte hain aur usse interact karte hain, toh aap rewards earn karte hain.
Agar koi user aapke content mein diye gaye referral link ya coin cashtag ($BTC jaise) par click karke trade karta hai, toh aap uski trading fees ka kuch percentage (30% tak) commission ke taur par earn kar sakte hain.
* Aap jo earn karte hain woh aapke content ki quality, engagement, aur kitne log aapke through Binance par trade karte hain, is par depend karta hai.
* ye sabit hai ke , agar aap consistent aur quality content banate hain toh aap daily $8 se $12 tak earn kar sakte hain.
* Top content creators ko weekly bonus commissions bhi mil sakte hain.
Yaad Rakhain:
* Aapka content Chahay short hi kio na ho magar original or informative hona chahye.
* Koshish karain kay article trending topics pay ho is tarha say ap ko zayada engagement milain gi jo kay earrings mein izafa kar sakti hain
Rewards FDUSD mein diye jaate hain aur har week aapke Funding Wallet mein transfer kiye jaate hain