🚨Dosto, aaj ek aur important baat share kar raha hoon jo har naye aur purane crypto user ke liye zaroori hai.
Aaj kal fake airdrops aur phishing links ka tufaan chal raha hai — logon ko free tokens ka lalach de kar unka Binance wallet ya funds hack kiye ja rahe hain.
Telegram groups, Twitter threads, aur even YouTube comments mein aise links ghoom rahe hain jo kehte hain:
“Claim your BNB airdrop”
“$500 free tokens – only for Binance users”
“Connect wallet to receive Trumbcoin”
Dosto, yeh sab scams hain.
Jaise hi aap un links par click kar ke apna wallet connect karte ho, aap apna control un logon ko de dete ho jo sirf aapka paisa churaana chahte hain.
Ek bhai ne recently bataya ke usne MetaMask wallet ko ek “Binance airdrop” link se connect kiya — aur sirf 10 minutes ke andar uska $2,000 ka portfolio zero ho gaya. Sirf paisa nahi gaya — saath mein uska trust bhi toot gaya.
Aapko kya karna chahiye?
Kabhi bhi unknown website par apna wallet connect mat karo
Binance ki official website aur app ke ilawa kisi aur jagah apni info mat do
“Free airdrop” ya “exclusive offer” ke naam pe FOMO ka shikaar mat bano
2FA enable karo aur apna recovery phrase kisi ke saath share na karo
Crypto market mein success sirf unko milti hai jo smart hain – na ke unko jo jaldi ameer banne ka shortcut dhoondte hain.
Protect your funds. Protect your future.
Crypto Perho. Safe raho. Smart bano.
– Muhammad Huzaifa
#Binance #AirdropScamAlert #CryptoAwareness #BNB #CryptoSecurity #TrumbcoinSafeguard