Taza tareen khabar: ๐Ÿ‡ต๐Ÿ‡ฐ Pakistan ne Binance ke baani CZ ko Strategic Crypto Advisor muqarrar kar diya

Pakistan ke digital finance landscape mein aik tareekhi taraqqi ke taur par, Binance ke founder Changpeng Zhao โ€” jo aam tor par CZ ke naam se mashhoor hain โ€” ko Pakistan Crypto Council ka Strategic Advisor appoint kiya gaya hai. Ye taqarrur blockchain, Web3, aur digital finance ko apnane ke hawale se mulk ke iraadon mein aik bara qadam hai.

Ye elan aik high-level meeting ke baad samne aaya jo Federal Minister for Finance and Revenue, Senator Muhammad Aurangzeb ki sadrayat mein hui. Is meeting mein top hukoomati afraad shamil thay, jin mein Chairman Securities and Exchange Commission of Pakistan, Governor State Bank, aur Federal Secretaries of Law aur IT bhi shamil thay.

Finance Minister Aurangzeb ne kaha:

"Ye Pakistan ke liye aik tareekhi lamha hai. Hum duniya ko ye wazeh paighaam de rahe hain ke Pakistan innovation ke liye tayar hai. CZ ke saath, hum apne vision ko taiz kar rahe hain ke Web3, digital finance aur blockchain ke zariye Pakistan ko aik regional power banaya jaye."

CZ ke daure Pakistan mein unki alag alag mulaqatein Prime Minister aur Deputy Prime Minister se bhi hui, jo is baat ka saboot hain ke hukoomat tech ecosystem aur regulations ke liye pur-azm hai.

Bilal Bin Saqib, jo Finance Minister ke Chief Advisor hain Pakistan Crypto Council ke liye, unhon ne kaha:

"Pakistan apne darwazay khol raha hai financial duniya ke mustaqbil ke liye. Aur is safar mein rehnumai ke liye CZ se behtar kaun ho sakta hai?"

As a Strategic Advisor, CZ Pakistan mein crypto technologies ke regulation, infrastructure, education, aur adoption par rehnumai faraham karenge.

Unhon ne mulk ke nojawano ke potential ko emphasize karte hue kaha:

"Pakistan aik aisa mulk hai jahan 240 million se zyada log hain, aur un mein se 60% ki umer 30 saal se kam hai. Yahan potential intehai zyada hai."

#Pakistanicrypto #CZ